Friday, April 10, 2009

Mere mehboob tuje meri mohabbath ki kasam ( Rajendra kumar, Sadhana)





mere mehboob tuje meri mohobath ki kasam

phir muje nargisi ankon ka shahara de de
mera koya huwa rangeen nazzaaara de de.


Ae mere khwab ki tasbir meri jaan-e-ghazal

Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai

Raat din mujhko satata hai tasavur teeera

Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai

Aa mujhe apni sadaon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazzara dede

Mere mehboob tujhe



Bhool sakti nahin ankhen woh suhana manzar

Jab tera husn mere ishq se takraya tha

Aur phir raha mein bikhre the hazaron naghme

Me woh naghme teri awaaz ko de aaya tha

Shazedil ko unhi geeton ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe



Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh gadi

Teri ankhon se koi jaam piya tha maine

Mere rug rug mein koi barqse lehrai thi

Jab tere marmari haathon ko chua tha maine

Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe



Maine ik baar teri ek jhalak dekhi hai

Meri hasrat hai ke mein phir tera deedar karoon

Tere saaye ko samajh kar mein haseen Taj Mahal

Chandni raat me nazaronse tujhe pyar karoon

Apni mehki hui zulfon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe



Dhoond tha hoon tujhe har raah mei har mehfil mein

Thak gaye hai meri majboor tamanna ki kadam

Aaj ka din meri umeed ki hai aakhri din

Kal na jaane mei kahan aur kahan tu ho sanam

Do ghadi aapni nigahon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe



Saamne aa ke zara parda utha de rukh se

Ik yahi mera ilaaj-e-gham-e-tanhai hai

Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko

Ab to milja ke meri jaan pe ban aayi hai

Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe



Meri mohabbat ki kasam

Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede

Mera khoya hua rangeen nazara dede

Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam

Mere mehboob tujhe


No comments:

Post a Comment

Hit Counters
Free Counter